f

Penis yani Zakar Ka Size Ka Kitna Ho

Penis yani Zakar Ka Size Ka Kitna Ho


Kai naujawan apney sukrrey juey bohut chotey zakar sey apney asal zakar kay size ka andaza lagatey hain jab kay ba'az logon ka sukrra hua zakar bohut chota ho jata hai jab kay akarr kar kafi lamba ho jata hai. Lehaza zakar ka asal size akrrahat wala hota hai.




[caption id="attachment_2286" align="aligncenter" width="540"]Penis yani Zakar Ka Size Ka Kitna Ho 1 Penis yani Zakar Ka Size Ka Kitna Ho 1[/caption]

Penis yani Zakar Ka Size Ka Kitna Ho 2

Penis yani Zakar Ka Size Ka Kitna Ho 3

Uzu e Tanasul Ko Hard Aur Thick Karny Ka Nuskha 1

Mardana Kamzori Ka Mukammal Course - Hakeemimran.com

hakeem imran kamboh

Bohut sey naujawanon ka khayal hota hai kay unn ka zakar lambaee mein chota hai jis ki wajah sey woh shaadi kay qabil nahin hotey. Aksar naujawanon ko apney zakar (penis) kay hawaley sey sirf ghalat fehmi (misconception) hoti hai kay woh chota hai hala'n kay woh chota nahin hota. Iss ghalat fehmi ki kaee wajoohaat hain


Iss kay elawa naujawan fahash films kay hero kay zakar kay sath apney zakar (penis) ka mawazna kartey hain. Fahash films mein kaam karney kay liye aisey afraad ka intekhab kya jata hai jin ka zakar (penis) lamba ho maslan ek American actor ka zakar 18 inches lamba hai. Iss kay elawa camera trick ki madad sey aam zakar ko lamba kar kay dikhaya jata hai jis ki wajah sey iss actor ka zakar muqablatan bohut lamba nazar aata hai.


Fard apney zakar ko ooper sey dekhta hai, jiski wajah sey sara zakar nazar nahi aata aur fard samajhta hai kay uss ka zakar chota hai. Mazeed agar fard ka paet kuch nikla hua ho to woh bilkul hi chota nazar aata hai.


Iss tarah ba'az naujawan apney doston kay barey zakar kay sath apna muqabla kartey hain agarcha inn ka zakar kuch chota hota hai magar unko kuch zyada hi chota mehsoos hota hai.

3 comments:

  1. Aslam o alaikom bahi maray nafs tedha hay is ka koi ilaj bataey

    ReplyDelete
  2. Plz send details ur medicine

    ReplyDelete
  3. Mujhe Zehni aur dimagi kamzori hai,bohat thakawat mehsoos hoti hai jiske waja sey concentration bohat mutasir hai.Koi nuska batain.Shukriya.

    ReplyDelete